BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA
Khushiyo ka khazana hota tha
Chahat chand ko pane ki
Dil titli ka diwana hota tha
Khabar na thi kuch subhah ki
Na shamo ka thikana hota tha
Thak-haar k aana school se
Par khelne b jana hota tha
Dadi ki kahani hoti thi
Pariyo ka fasana hota tha
Barish me khaghaz ki kashti thi
Har mausam suhana hota tha
Har khel me sathi hote the
Har rishta nibhana hota tha
Papa ki wo daante galti par
Mummy ka manana hota tha
Gham ki zubaan na hoti thi
Na zakhmo ka paymana hota tha
Rone ki wajah na hoti thi
Na hasne ka bahana hota tha
AB NAHI RAHI WO ZINDAGI
JAISA
BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.
No comments:
Post a Comment